Mishti and Abir search for each other
Last we see Mishti getting restless trying to contact Abir. While Abir's attempts to call her fail.Mishti decides to go home and talk to Abir. She wants to leave immediately. She gets out of the resort but is not able to find any cab. She approachs the guard at the gate of the resort, "Bhaiya, yaha cab kahan milegi". "Madam, itni raat ko toh yahan koi cab nahi milti, aap kal tak wait kariye, subah subah cabs mil jaayengi." Mishti looks worried. The guard continues "Dekhiye agar aapko jaldi hai toh 2-3 km dur ek bus stop hai, vahan se koi na koi gadi ya bus mil hi jaani chahiye." Mishti thanks the guards and thinks, Aaj raat agar mai yaha rooki toh ghar pe phir se kuch na kuch galat fahmi ho jaayegi. Kuhu kuch tamasha kar degi aur mere aur Abir ke beech aur problems ho jaayegi. Nahi.. mujhe aaj hi ghar jaana hoga.She starts to walk towards the busstop. She arrives at a silent deserted road and thinks she might have made a mistake trying to travel alone at night, but having come this far, doesn't want to turn back..She notices a couple of bikes approach. Some obviously drunk men stop their bikes and start to tease her.Meanwhile, Abir finally finds a cab who agrees to take him to the resort. He keeps trying to call Mishti but her phone is unreachable.Mishti warns the bikers to stay away from her. But one of them grabs her hand. Mishti looses her temper and hits him in his guts. She tells the others to leave her in peace. But this angers the other bikers and they start to surround her. Mishti prepares herself to fight them.Abir reaches the resort, but as he is getting out of the cab, he overhears the guards talking about this crazy woman who left all alone on this dangerous road. He shows the guards Mishti's picture and they confirm that Mishti left towards the busstop all alone. Abir gets worried and convinces the cab driver to drop him a little further. The cab driver says thats it's really late and he has already come too far, but agrees to go a little further for extra money.Mishti tries to talk sense into the bikers warning them to stay away. But one of them trips and falls over her, hurting her arm and slightly tearing her beautiful pink dress in the process.Abir is looking for Mishti from the cab. He traces her phone's location and guides the cab. She happened to wander off from the main road and is actually no where close to the busstand. He reaches her location to see her holding a wooden log and trying to fight off her attackers. Seeing this Abir rushes out of the cab and the cab driver quickly drives away.Mishti had managed to scare most of her attackers, and Abir joins her with another log. Back to each other they beat most of the attackers and the attackers run away on their bikes.Abir hugs Mishti. Mishti is in tears seeing Abir. Abir- Tum pagal ho? Agar tumhe kuch ho jaata toh? Itni raat ko akele iss dangerous road pe chal ke jaane ki kya zaroorat thi? Mai jaanta hoon hi tum Lady Singham ho, but tum pori duniya se akele nahi lad sakti. Mishti- Abir voh mai.... Abir, with teary eyes- Mai tumse kuch ghante dur nahi reh paaya, agar tumhe sach mai kuch ho jaata toh mai kya karta, batao? Tumhe apni agar koi fikar nahi hai, toh ek baar mere baare mai hi soch leti. Mishti- Tumse hi toh milne aa rahi thi. Kya karti mai. Ek toh tum mujhe chod ke chale gaye, phir apna phone bhi off kar liya. Mai subah se tumhara, tumhare ek call ka wait karr rahi hoon. Aur tumne mere liye subah thodi der bhi wait nahi kiya. Bas chale gaye. Abir- I am sorry Mishti. Mai pata nahi kyun bhar bhar tumhe hurt karr raha hoon. Mai kitni bhi koshish karr lu, mai itna stress ho jaata hoon ki mai ekdum stupids ki tarah behave karne lagta hoon.. ek toh maine kal tumahari baat nahi suni, upar se mai aaj tumse baat kiye bina hi nikal gaya. I'm sorry Mishti, please mujhe maaf kar do. Mishti- ek shart par Abir- kya? Mishti- tumhe mujhse promise karna hoga ki tum phir se mujhe chod kar kabhi nahi jaaoge. Abir- Tum idiot ho? Tum pagal ho? Tumhe sar pe chot lagi hai? Toh tumne soch bhi kaise liya ki mai tumhe chod sakta hoon. Mishti- choda toh tha na tumne.Abir realises that when he had broken up with Mishti, some part of her that blindly trusted him to be with her, was hurt. He would have to earn that trust again..Abir- Mishti, mai tumse promise karta hoon, mai tumhe kabhi nahi chodunga. But tumhe bhi mujhse ek promise karna hoga..Mishti- Kya?Abir- ki tum aisi reckless harkate nahi karogi. Mai jaanta hoon ki tum Angry Chorni ho. Aur tum bahaut strong ho. But raat ko akele deserted aur dangerous road pe chalna bravery nahi stupidity hai.Mishti- I promise I'll be more careful.. But Abir, kal ki baat ke baad mai bahaut pareshan thi, aur mai tumse baat karna chahti thi..Abir- mai bhi tumse baat karna chahata hoon. Ye jo bhi baat hai, usse pura kar ke resolve karna chahta hoon.Writer:Bhavz95
The discussion
Mishti and Abir start walking. They want to talk to each other, but are unable to decide where to start..Abir- Mishti Mishti- AbirThey call each other at the same time and smile. Mishti- Tum boloAbir- Mishti voh, kal raat maine jo kahan, I didn't mean all that. Mai bas bahaut tension mai tha aur maine apna saara gussa tumpe nikal diya. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. I'm sorry.. please mujhe maaf kar doMishti- Nahi Abir, galti sirf tumhari nahi thi. Kal itne tension ke beech mujhe Kuhu ke topic ko drag nahi karna chahiye tha. Kuhu ka topic toh endless hai, hum uske baare mai kitni bhi baat kare, kuch bhi decide kare, kuch na kuch toh hota hi rahega.. mujhe usse let go karna chahiye tha.Abir- nahi Mishti. Kuhu ne tumse bahaut buri tarah se baat ki, tumhari insult ki, tumpe bewajah ke ilsam lagaye, aur mai kuch karr bhi nahi paaya. Mai jaanta hoon ki tum sahi ho Mishti. But mujhe ek darr hai jiski vajah se mai Kuhu ki baat ko lekar aise behave karr raha hoon.Mishti- Kaisa darr Abir?Abir- Mishti, pata hai, jab maine tumse breakup kiya tha, tab mai bahaut disturbed tha, baba ki asli roop ko dekhkar mujhe ek dhakka laga tha.. mai unpe itna vishwas karna chahata tha aur voh kaise insan nikle.. phirNanko aur Masi ki sachai bhi mere liye ek bahaut bara shock tha. Mai jaanta hoon, ki agar maine thoda time liya hota, saari baatein consider ki hoti, toh mai ye kabhi nahi karta. Mai tumse baat karta.. tumhe sab kuch batata. Lekin voh baat alag thi. Tumhari koi galti nahi thi aur na hi Nanko galat tha.. voh choice tumhare liye unfair thi, humare liye unfair thi. Lekin uss mai Maa ko oppose nahi karr paya.. mai kamzor tha.. baba ke dhoke ne mujhe kamzor karr diya tha.. maine tumhe hurt kiya, humara rishta toda, but mai uss waqt itna hurt tha ki maine tumhara hurt dekh kar bhi andekha karr diya. Tum mujhse baat karne aayi aur maine tumhe aur hurt kiya.. mere har ek action ke baare mai maine bahaut socha Mishti.. Voh do mahine maine ek half life jee raha tha, aur mai roz sochta rehta ki maine tumhe kitna hurt kiya... Galti meri thi, but saza tumhe mili.. maine Nanko ke liye, meri family ke liye, tumhe chod diya.. aur tumne phir bhi mera saath nahi choda. But mai nahi chata hoon jo mere saath hua voh Kunal ke saath hoon..Mishti- Matlab?Abir- Aaj agar tumhara aur Kuhu ka fight hota hai agar aisa hota hai ki tum dono ek dusre ke saath bhi na rehna chaho, toh jo choice meri thi, voh Nanko ki ho jaayegi. Usko bhi apne Bhai aur pyar mai choose karna hoga. Aur mai usko uss position mai nahi dalna chahta Mishti. Mishti mai jaanta hoon ki Kuhu jiss tarah se tumhare saath behave karti hai voh tum nahi deserve karti lekin agar ye baat aage bhadhi toh jo hoga voh na Nanko na ghar mai koi aur deserve karta hai.. tum meri baat samaj rahi ho na Mishti?Mishti- Mai tumhari baat samaj rahi hoon Abir. But..Abir- haan.. mai jaanta hoon...kuhu ko stop karna bhi zaroori hai. Toh mai tumse promise karta hoon. Jo bhi karna hoon, hum milke karenge, but ghar mai jhagra kiye bina.. Mishti, breakup ke waqt bhi aur aaj bhi, jo mai tumse expect karr raha hoon voh fair nahi hai. Tumhe iss sab ko jhelna pade ye mai nahi chahta, but Mishti, mai tumhare sivah aur kisise aise kuch maang bhi nahi sakta.. tum bahaut strong ho Mishti, tum meri strength ho.. aur mai jaanta hoon, iss unfair situation mai bhi, agar hum saath hai, toh hum sab theek karr sakte hai.. tumhare sivah ye baat na mai kisi se karr sakta hoon, na koi aur mera isme saath de sakta hai.. tum dogi na mera saath Mishti? Please.. I know mai ye deserve nahi karta, but please...Mishti places her hand on Abir's mouth Mishti- Abir bas! Bas karo. Mai tumhara saath humesha dungi.Abir and Mishti share a moment of staring into each other's eyes. There is some thunder and lightning. Abir- lagta hai baarish hone wali hai. Resort toh kaafi dur hai aur hum raasta bhi bhatak chuke hai. Tumhare phone mai network bhi nahi hai. Yehi aas paas koi jagah dhund lete hai, kal subah resort chale jaayenge. Mishti- okay. But yaha toh mujhe kuch bhi nahi nazar aa raha.Abir spots a light far away, pointing at it he says, " voh dekho, lagta hai vaha kuch hai. Ho sakta hai kuch log mil jaaye jo humari help karr de.."Mishti and Abir walk towards the light. After a while they reach a small cottage. The light is coming from the front poach. Abir knocks and rings the bell. There is no response. Mishti and Abir call out but find no response. Mishti peeks in through a window and sees that the place looks abandoned with sheets covering the furniture, sofa, etc. Mishti- Abir, lagta hai yahan abhi koi nahi rehta. Kisine light on chod di hogi.Abir- hmm.. you are right. But ab kya kare?It starts to rain... Mishti pushes the window and is surprised to find it unlocked. She climbs in. Abir looks at her in shock.Mishti- "Pehli baar ek ghar dekha hai?" Abir nods his head in a no. "Tumhe chashme aa gaye hai?" Abir again nods his head in a no. "Koi bhoot dekh liya hai?" Abir again nods his head in a no. "Toh phir aise aakhe phad ke kyun dekh rahe ho?"Abir- But Mishti, kisi aur ka ghar hai. Agar koi aa gaya toh.Mishti- agar koi aa gaya toh hum unse maafi maang lenge. Ab jaldi aao baarish teez ho rahi hai.